Pages

Thursday, December 27, 2007

Maa.


uske anchal ki chanv mein aaram milta tha
roj pyar vala ek naya naam milta tha
shaitaniyon ko dular ka inaam milta tha
yaad aati hai vo god vo thapke vo lori
jahan dinbhar ke thake mujhko mera mukam milta tha

har subah uski mujhe tayyiar karne mein jati thi
mere vapas ane tak voh raste pe nazarein bichati thi
poori ruchi se din sunti vo mera, muskurati thi
chot lekar ata tha kabhi to dant ti zarur thi mujhe
par dekha tha kankhiyon se meine uski bhi aankh bhar aati thi

roothta jab kabhi mein vohi mujhe manati thi
dost banke khel khilati teacher banke padati thi
nayi nayi kahaniyan har raat mujhe sunati thi
bimar pad jata agar toh duniya hi palat jati thi uski
sula kar mujhe sari raat sirhane bita ti thi

haan, yaad aati hai maa teri har baat
yaad ata hai sir pe tera ferna haath
num hoti hein aankhein meri ab har sooni raat
aaj kehne ko toh sab paas hai mere
bas nahi hai toh teri mamta ka saath

ek baar maa, bas ek baar toh aaja
thak gaya hun mein mujhe fir god mein sulaza
fir mera sir sehla fir koi lori sunaja
ulajh sa gaya hun duniyadari ke janjalon mein mein, maa
bol mujhe sab accha hi hoga, aa meri uljhan suljha ja.

Monday, December 17, 2007

Diya


mitti ka diya jal raha hai chokhat pe
usi se prakash hai
par bhujna toh uski niyati hi hai
thodi chandani chalak ke khidki se ayegi par;
mujhe vishvas hai
yeh vishvas hai toh akhein khuli hein meri
niharti cheezein jo aas paas hein
varan band hi kar lun inhe
andhkar hi toh hai agar na vishvas hai

vishvas umeedon icchaon mahatvakanshaon mein bandha mein
kabhi us andhere mein jhankne ki koshish hi nahi karta
shayad usi mein koi shashvat diya ho
jo mil jata, toh mein kabhi andhkar se na darta
par darta hun; insan hun na, bhagvan nahi
ya ki mein bhi bhagvan hun, bas mujhe gyan nahi
anbhigya mere andar ke diye se dhoondta bhahar mein ujala hun
par kya ki mein utar gaya andar, mila andhera, kho gaya mein
insaan hun, chokhat ke diye pe hi vishvas rakhne vala hun.

Tuesday, November 27, 2007

Kavi mein nahi.

Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun
Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

Baat toh jagjaani karta hun
Sirf shabdon ki manmani karta hun
Chahta hun logon ka dhyan mein thoda
Isliye dhindhora peet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Tooti ummeedon ka mara hun
Naa sudharti duniya se hara hun
Par kahan manta hai maan insan ka
Toh apne shabdon mein hi jeet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Dhol ki pol toh kholta hun
Kuch bhala toh kuch bura bolta hun
Dolta hun mein bhi dolti duniya ke saath
Shabdon pe akar tikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Na praja hi koi na taj hai mera
Meri duniya pe par raj hai mera
Shabdon ko lein toh ameer hun sabse
Yun toh kaudiyon ke daam bikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Yeh duniya yeh log, kshanbhangur saare
Fir bhi zyada ki chahat mein pareshan bichare
Chinta na karein meri nishchinta dekh
Mein toh kavi hun, pal pal banta aur mit ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

Thursday, November 15, 2007

Mein???

sadhu bhi shaitan bhi mein hun
mrityu bhi aur jaan bhi mein hun
na jane hai mujhko koi
aur sabki pehchan bhi mein hun

ant aur shuruaat bhi mein hun
bhor sandhya aur raat bhi mein hun
kaan fadta sannata mein
boli hui har baat bhi mein hun

prithvi mein akash bhi mein hun
tripti mein aur pyaas bhi mein hun
todne vali nirasha hun mein
jodne vali aas bhi mein hun

sadgun mein har dosh bhi mein hun
hansi bhi mein aur rosh bhi mein hun
maan mein samati shanti hun mein
dil dehlata akrosh bhi mein hun

haar bhi mein aur jeet bhi mein hun
ari bhi mein har meet bhi mein hun
tan jhulsati garmi mein hi
khoon jamati sheet bhi mein hun

sheetal jal ghatak aag bhi mein hun
hans bhi mein aur kag bhi mein hun
mat maili ghrina toh hun mein
saf suthra anurag bhi mein hun

mein bhi mein aur tum bhi mein hun
mila hua aur gum bhi mein hun
maan mauji mastana hun mein
aur sada gumsum bhi mein hun

kuch nahi par sab kuch hun mein
mithya hun par sachmuch hun mein
samay, soch, bhagya, bhagvan
aisa kuch ya aur uchch hun mein

Friday, November 2, 2007

Do Chai Bolna.


chai ki chuski
hmmm kya baat hai uski
susti se narazgi
bhar jaye tazgi
aankh khol de
mithas ghol de
sust subhon mein
sard raaton mein
pyalon pe hoti batein
baaton mein beeti ratein
gappe marte yar
ya baarish mein unka intzar
andar tak samati mehek
rom rom jata jaise chehek
cutting, special, kadak, masala
jaisi pasand vaisa pyala
daam kum zyada kaam
tanav mein deti aaram
ubaasi chuae naye aayam
yaad ata chai ka naam
yaar thak gaya hun mein bhi
mushkil ho raha hai aankhein kholna
iccha toh hai tumhari bhi
chalo yaar do chai bolna.

Tuesday, October 30, 2007

India mein Bhartiya criticize huae.

globalize huae
kuch mobilize huae
western culture se hypnotize huae
bharatiya hona hi bhool gaye
hum itne americanize huae
ab lelein bat is so called hindi kavita ki
jahan jamke english shabd utilize huae
par kya karein
badalte india aur mit te bharat ko dekh
khayal kuch yun hi synthesize huae
pet badh gaya health ghat gayi
kuch aise motorize huae
paisa paisa japte stress mein khapte
aye din log hospitalize huae
fast food ke chatkare lete hum
wahan yoga ke asan analyze huae
namaste sun ne ko kan taras gaye
jabse hi-hello prioritize huae
world wide web ko hi world samajh liya
is tarah computerize huae
wtc ke attack ko lekar toh sare sympathize huae
par khud ke desh mein
bethe hein lakhon apno se terrorize huae
kitabon ka daman chod desh ke nayak
bade parde pe picturize huae
thode hi actualize
jyada toh dramatize huae
krishak ko chod krish ke kisse
jab gyan ke mapdando mein finalize huae
tab 1947 ke mahatv ki jagah ak-47 ke features
aaj ki pidhi ko recognize huae
dukh toh hota low waist mein waste hoti apni santano ko dekh
par afsos, bhag-daud mein uljhe un becharon ko
patan ke yeh lakshan kahan realize huae
globalize huae hum
kuch mobilize huae
Afsos, India mein Bhartiya criticize huae.

Saturday, October 6, 2007

Adhi Sampoornta.

Yeh adha adhoora din
adhoori si raat
adhoore khayal
adhoori har baat
adhmana maan
adhchala taan
adha sadham adha adham
har kaam adhkara
insaan adhmara
adhoorepan mein jane kya dhoondta
dekhein toh dikhti hai adhi sampoornta.

Monday, August 20, 2007

be my umbrella.


i wait for you to come back
come and see what i lack
lend me a shoulder, am sad
be my umbrella, rain's bad.

Wednesday, June 27, 2007

A Journey To Beloved's Home.


Started for the journey in the train
It was midnight with showers of rain

Destination was far n long long way to go

Yet no sign of worry on my face,to show

There was a least sound n it was pitch dark

The engine whistled,as if mimickin a lark

Lost in the heaven of love n glee
I was makin plans to please n surprise thee
Overwhelmed with her thoughts in my mind

I was still sad to find home left behind

Then I got alarmed by a sudden peculiar noise

Which became even more strange,added to my mom's voice

Noise was of alarm clock showin morning at seven

N I cud find nowhere my luv or that heaven
Ya,it was a dream.But wht a dream it was.

Just unforgetable,dont know for wht cause.

Still smiling of the experience I went thru

I pray to god if tht journey cud cum true.

Monday, June 25, 2007

The Blood.




Running thru my veins
Is the blood,red and warm.
And so is of others around me.
Still I see a thirst for it.
Still bloodshed.
Still.
Why cant they see,
That what they they want is what they already have.
And what they'll end up gettin is what they wud never want.
Never ever.
You come with nothing
And nothing goes with you as well.
It has never occured n will never occur.
So where does your quest for power lead you?
Nowhere.Seriously.
But it sure does lead your children somewhere.
N that is a dark future .A future where jungle law prevails n humanity trails.
There has never been a winner.None.
Can't u see there's no end?
It has been there for ages and will remain for centuries,
If you dont stop.
People is what matters.
With all the wealth in the world with you and no people,no 'humans',
You can imagine how happy you wud be.
You still have time,think about it.
No one lasts forever, atleast let the peace be.
Try for once,helping a poor,smiling to a child, takin care of the old and the helpless.
The blood.
I know it boils at time.
Mine does too.
But there are better things to do,
With the heat in you.
I dont say dont fight,u at times have to, n u shud.
But fight against vices, fight to save lives n not to take them,fight against the devil in you,
Fight keepin ur selfish self aside.
You'll be d most contented one. Trust me.
Look within for answers n your heart will guide u,
As it pumps the universal spirit in u.
The blood,red n warm.

Mumbai Nagariya.


Shola hai ya Bijuriya
Mujhe nahi pata
Par gazab hai ye Mumbai nagariya.
Logon ki kami nahi yahan
Aur bhara hua hai har gali-kooncha,
Par andar ke us khalipan ka kya
Jisse joojhta hai yeh shahar samoocha.
Do crore se jyada abadi
Par itna tanha admi kahin nahi dekha
Begano mein apne talashti sooni ankhein
Aur mathe par padi hui chinta ki rekha.
Anishchitta ke andhere mein satat badte kadam
Umeed mein ek nishant ki
Koi kahe chahe kuch bhi
Jaroorat toh sabhi ko hoti hai ekaant ki.
Insaan se zyada zoroori paisa
Aur bade dil se zyada bada naam
Log jeetein hein yahan kaam karne ke liye
Jeenein le liye nahi karte kaam
Bhagam bhag ke aise daur mein
Ruk ke sochne ki kise fikar hai
Kahin bus na choot jaye,train na miss ho gaye
Sabse zyada toh logon ko isi ka dar hai.
Tanav mein doobi is mayanagari ke baarein aur kya kahein
Hum nahi kehte,tathya kehte hein,
Yahan bacche kya aur boodhe kya,sabhi tanav mein rehte hein.
Aseem anant is shehar mein
Lagein sab hein aage nikalne ki hod mein
Par kya sach mein koi vijeta hoga,
Ya harenge sab hi,is andhi daud mein?

Sunday, June 24, 2007

Aas.


Aaj maan mera udas hai
Ek aajadi ki aas hai
Na hava chale na panchi chehkein

Na mausam hi kuch khas hai


Sooraj bhi ghata mein kho gaya

Aaj chand jald hi so gaya

Ye dharti hai kehna chahti kuch

Par dabi hui aawaj hai


Sab geet besure ho gaye
Ras jane kahan pe kho gaye
Maan kehta hai geet sunane ko

Toote huae par saaj hein

Aaj phool kuch hein murjhaye se

Har taraf andhere chaye se
Halanki padi hein boondein kuch
Par jagi hui si pyaas hai


Aaj maan mera udas hai

Ek aajadi ki aas hai.