Pages

Tuesday, November 27, 2007

Kavi mein nahi.

Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun
Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

Baat toh jagjaani karta hun
Sirf shabdon ki manmani karta hun
Chahta hun logon ka dhyan mein thoda
Isliye dhindhora peet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Tooti ummeedon ka mara hun
Naa sudharti duniya se hara hun
Par kahan manta hai maan insan ka
Toh apne shabdon mein hi jeet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Dhol ki pol toh kholta hun
Kuch bhala toh kuch bura bolta hun
Dolta hun mein bhi dolti duniya ke saath
Shabdon pe akar tikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Na praja hi koi na taj hai mera
Meri duniya pe par raj hai mera
Shabdon ko lein toh ameer hun sabse
Yun toh kaudiyon ke daam bikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Yeh duniya yeh log, kshanbhangur saare
Fir bhi zyada ki chahat mein pareshan bichare
Chinta na karein meri nishchinta dekh
Mein toh kavi hun, pal pal banta aur mit ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

Thursday, November 15, 2007

Mein???

sadhu bhi shaitan bhi mein hun
mrityu bhi aur jaan bhi mein hun
na jane hai mujhko koi
aur sabki pehchan bhi mein hun

ant aur shuruaat bhi mein hun
bhor sandhya aur raat bhi mein hun
kaan fadta sannata mein
boli hui har baat bhi mein hun

prithvi mein akash bhi mein hun
tripti mein aur pyaas bhi mein hun
todne vali nirasha hun mein
jodne vali aas bhi mein hun

sadgun mein har dosh bhi mein hun
hansi bhi mein aur rosh bhi mein hun
maan mein samati shanti hun mein
dil dehlata akrosh bhi mein hun

haar bhi mein aur jeet bhi mein hun
ari bhi mein har meet bhi mein hun
tan jhulsati garmi mein hi
khoon jamati sheet bhi mein hun

sheetal jal ghatak aag bhi mein hun
hans bhi mein aur kag bhi mein hun
mat maili ghrina toh hun mein
saf suthra anurag bhi mein hun

mein bhi mein aur tum bhi mein hun
mila hua aur gum bhi mein hun
maan mauji mastana hun mein
aur sada gumsum bhi mein hun

kuch nahi par sab kuch hun mein
mithya hun par sachmuch hun mein
samay, soch, bhagya, bhagvan
aisa kuch ya aur uchch hun mein

Friday, November 2, 2007

Do Chai Bolna.


chai ki chuski
hmmm kya baat hai uski
susti se narazgi
bhar jaye tazgi
aankh khol de
mithas ghol de
sust subhon mein
sard raaton mein
pyalon pe hoti batein
baaton mein beeti ratein
gappe marte yar
ya baarish mein unka intzar
andar tak samati mehek
rom rom jata jaise chehek
cutting, special, kadak, masala
jaisi pasand vaisa pyala
daam kum zyada kaam
tanav mein deti aaram
ubaasi chuae naye aayam
yaad ata chai ka naam
yaar thak gaya hun mein bhi
mushkil ho raha hai aankhein kholna
iccha toh hai tumhari bhi
chalo yaar do chai bolna.