Pages

Tuesday, October 30, 2007

India mein Bhartiya criticize huae.

globalize huae
kuch mobilize huae
western culture se hypnotize huae
bharatiya hona hi bhool gaye
hum itne americanize huae
ab lelein bat is so called hindi kavita ki
jahan jamke english shabd utilize huae
par kya karein
badalte india aur mit te bharat ko dekh
khayal kuch yun hi synthesize huae
pet badh gaya health ghat gayi
kuch aise motorize huae
paisa paisa japte stress mein khapte
aye din log hospitalize huae
fast food ke chatkare lete hum
wahan yoga ke asan analyze huae
namaste sun ne ko kan taras gaye
jabse hi-hello prioritize huae
world wide web ko hi world samajh liya
is tarah computerize huae
wtc ke attack ko lekar toh sare sympathize huae
par khud ke desh mein
bethe hein lakhon apno se terrorize huae
kitabon ka daman chod desh ke nayak
bade parde pe picturize huae
thode hi actualize
jyada toh dramatize huae
krishak ko chod krish ke kisse
jab gyan ke mapdando mein finalize huae
tab 1947 ke mahatv ki jagah ak-47 ke features
aaj ki pidhi ko recognize huae
dukh toh hota low waist mein waste hoti apni santano ko dekh
par afsos, bhag-daud mein uljhe un becharon ko
patan ke yeh lakshan kahan realize huae
globalize huae hum
kuch mobilize huae
Afsos, India mein Bhartiya criticize huae.

Saturday, October 6, 2007

Adhi Sampoornta.

Yeh adha adhoora din
adhoori si raat
adhoore khayal
adhoori har baat
adhmana maan
adhchala taan
adha sadham adha adham
har kaam adhkara
insaan adhmara
adhoorepan mein jane kya dhoondta
dekhein toh dikhti hai adhi sampoornta.