Pages

Thursday, December 27, 2007

Maa.


uske anchal ki chanv mein aaram milta tha
roj pyar vala ek naya naam milta tha
shaitaniyon ko dular ka inaam milta tha
yaad aati hai vo god vo thapke vo lori
jahan dinbhar ke thake mujhko mera mukam milta tha

har subah uski mujhe tayyiar karne mein jati thi
mere vapas ane tak voh raste pe nazarein bichati thi
poori ruchi se din sunti vo mera, muskurati thi
chot lekar ata tha kabhi to dant ti zarur thi mujhe
par dekha tha kankhiyon se meine uski bhi aankh bhar aati thi

roothta jab kabhi mein vohi mujhe manati thi
dost banke khel khilati teacher banke padati thi
nayi nayi kahaniyan har raat mujhe sunati thi
bimar pad jata agar toh duniya hi palat jati thi uski
sula kar mujhe sari raat sirhane bita ti thi

haan, yaad aati hai maa teri har baat
yaad ata hai sir pe tera ferna haath
num hoti hein aankhein meri ab har sooni raat
aaj kehne ko toh sab paas hai mere
bas nahi hai toh teri mamta ka saath

ek baar maa, bas ek baar toh aaja
thak gaya hun mein mujhe fir god mein sulaza
fir mera sir sehla fir koi lori sunaja
ulajh sa gaya hun duniyadari ke janjalon mein mein, maa
bol mujhe sab accha hi hoga, aa meri uljhan suljha ja.

Monday, December 17, 2007

Diya


mitti ka diya jal raha hai chokhat pe
usi se prakash hai
par bhujna toh uski niyati hi hai
thodi chandani chalak ke khidki se ayegi par;
mujhe vishvas hai
yeh vishvas hai toh akhein khuli hein meri
niharti cheezein jo aas paas hein
varan band hi kar lun inhe
andhkar hi toh hai agar na vishvas hai

vishvas umeedon icchaon mahatvakanshaon mein bandha mein
kabhi us andhere mein jhankne ki koshish hi nahi karta
shayad usi mein koi shashvat diya ho
jo mil jata, toh mein kabhi andhkar se na darta
par darta hun; insan hun na, bhagvan nahi
ya ki mein bhi bhagvan hun, bas mujhe gyan nahi
anbhigya mere andar ke diye se dhoondta bhahar mein ujala hun
par kya ki mein utar gaya andar, mila andhera, kho gaya mein
insaan hun, chokhat ke diye pe hi vishvas rakhne vala hun.