Pages

Thursday, May 12, 2011

Yeh Shaam

teri dheemi si aawaaz mein yeh shaam bhi ruk ruk ke dhal rahi hai

chehre se latein hataane ko hi jaise yeh hawa tez chal rahi hai

yeh hilti daaliyan, chehchahaate pakshi, ittefaak nahi hein

tumhaari hansi ke intezaar mein ab kaaynaat machal rahi hai

kalko yeh na kehna ki ae dost tum beech baat hi uth chal diye

jaane do mujhe, ki ab iss dost ki bhi neeyat badal rahi hai

teri dheemi si aawaaz.....


kyun yeh chaandni aaj tere chehre pe hi aakar tik rahi hai

kyun aaj teri mehek ke aage raatraani bhi aadhe mol bik rahi hai

iss raat mein tu khoobsoorat lag rahi hai ya tujhmein yeh raat

aisi uljhan se meri zabaan har shabd pe ab sambhal rahi hai

teri dheemi si aawaaz...


mera marz bhi tu hai, dawa bhi tu, ilaaj karun toh main kaise karun

sadiyon puraani do dilon ki baat, aaj karun toh main kaise karun

ki dar ya jhemp se hoth nahi siley hein mere, ae dost

kya kahun jab soch hi teri yaadon mein tehel rahi hai

teri dheemi si aawaaz...

Bench

zindagi ki sadak pe hum bas yun hi ek bench pe sustaane ko ruke the

humein kya pata tha ki hum kismat ke kaidi ho chuke the


bagal mein aakar tum baithe aur humne gaur bhi na kiya

fir jo gaur kiya toh karte hi gaye, fir kuch aur bhi na kiya


kisi ko aham banana nahi chahte the kyunki khud vikalp banne se darte the

phir bhi na jaane kyun tumhein khila kar hi apna pait bharte the


khair humne kaha khud se ki lag gaye phir tum apni zindagi haathon se apne likhne

kahaa, ruk jaao. mat tayyiyaar raha karo muskuraahton ke mol bikne


par marammat karne koi aur aata dikhaai bhi toh na diya tha

anjaane raaston pe khaali bench ke lamhon ko kabhi humne bhi jiya tha


toh jo haath hum shaan se peeche baandhe tehla karte the, humne badhaaye

voh roothna manaana, raaton ko khana dhoondhte dhakke khana, voh pal bhi khoob bitaaye


jaanne ko jigyaasu, maine tumhe bhi khoob jana, khoob aur jaanna chaaha

tumne mujhe kabhi jaanna hi nahi chaaha, fir bhi 'mujhe khudgarzon se nafrat hai', maine kaha


kyun kaha kyunki main sant nahi hun, main ummeed, apeksha karta hun

main tumhein saalon dunga, par jab mujhe zaroorat ho toh tumhaare ek din ki ummed rakhta hun


tumne poocha mujhse, ki kyun itne achche vartaav ke saath tum mujh par meherbaan ho

maine jawab na diya. hota toh jawaab deta. badle mein maine khud se kaha ki jawaab do

maine fir jawaab....na diya.


chamatkaar hi toh tha, toh chamatkaar ko prashno ke ghere mein kyun daalna

aaj achcha hai toh aaj ko aaj jeelein, aaj hi kyun kal ki soch ko paalna


toh keelein ab humaari khatm ho chali thi, thi kutiya ab humaari marammat ko keelein maangti

vyang yeh hai, ki dard se ummeedein jaagti hein aur ummeedein hein aur dard baant-ti


voh din bhi aa gaya jab khudgarzi ke chaar paath hum bhi seekh baithe hein

jana ki hum uss daur mein aa gaye hein jahan club ke shor mein aap sunna nahi chahte hum jo kehte hein


kya tha kyun tha sab jaan pata toh achcha hota. thoda samay aur bitata toh achcha hota.

dekhne waale kehte hein ki bachkana hai yeh. kaash mein sachmuch bachcha hota


tumse duniya mein halaaki kuch hi din aage hun, par kaamna hai ki duniyadaari mein tum mujhse aage nikal jaao

mere uthne ke baad bench pe agla baithne wala koi kum paagal zyada practical sa saathi paao


jahan tak meri baat hai toh safar zaari rahega yun hi keelein juta-te lagaate huae

haan zindagi ki sadak pe phir shaayad kisi bench pe ab na milun mein sustaate huae


haath kheenchne ka sabak bhi zaroori tha, shukriya ada bhi na kar paya seekhane ke liye

zabaan ka pakka hun toh yeh hai tumhaare liye meri taraf se kavita, bench ke naye saathi ko dikhaane ke liye


kahani ek carpenter ki

ek carpenter tha..matlab badhai..kaam mein achcha..duniya ko lekar uljha hua..bas uski ek hi buraai thi..logon ke gharon ki marammat karne nikal padhta tha..koi na bhi maange toh bhi agar usey dikhta ki marammat ki zaroorat hai toh marammat kar bina mol liye chal deta..ab mol toh leta nahi tha..toh keelein kahan se aati?..toh apni hi kutiya ki keelein nikaal kar duniya bhar ke ghar jodta tha..aaj keelon ke abhaav mein uski kutiya dhahne ko hai..voh sochta hai ki koi badhai uski duniya ki marammat karne bhi aayega..par har kahani pariyon ki kahani toh nahi hoti.


isliye apni keelein bacha ke rakho.

High Tales

hazy blues and reds and greens

ages spent in momentary scenes

the rides on the rainbow never disappoint

the 2D worlds are adjacent and joint

oh and the scary clowns jump on water

the sun melts in the sea till its left only quarter

her face, it shimmers in the flashes of reality

clearer than the reality around

or the mind made towns

the animal families, the perfect symmetry

skipping thoughts skipping worlds i am free

i make mold unhold memories

the stages are formed and we dance on trapeze

and I follow the non existing trails

such is the world of the high tales