Pages

Wednesday, April 30, 2008

'Naya'...fir socho.

Log kehte hein naya likho
Duniya se jara alag dikho
Naya kahan se launga mein
Ya fir kuch ab ugaunga mein
Aur naya bhi aye toh farak hi kya hai
Soch vahi hai vahi nazariya hai
Naya hai kya yahan koi na jaane
Sapekshta ki duniya mein firte diwane
Dhaalna cheezon ko naya kahan hai
Banana ho toh kuch naya hai
Par naye ko toh fir paribhashit hi yun kara hai
Naye tareeke se dhaalana hi naya bana hai
Bhramman mein hi yun toh naya kya hai
Ek se doosra, doosre se bana teesra hai
Theek hi hein fir toh mulya humare
‘Naye’ ke liye haath-pair kyun maarein
Aur naye ka dum bharna bhi kya fir sahi hai?
Kya sabit karne ki humein padi hai?
Farak kya pad jayega maan lene se
Naya nahi kuch, yeh jaan lene se.
Rachna, huh... rachnakar hum hein?
Kyun na adhe jhoot chod poore sach ka dum lein.
Humein kise jawab dena hai
Kab tak ‘naye’ ke naam pe dhaalte rehna hai.

Monday, April 7, 2008

Bhoole Palchin.

lamhon ki gujarish pe
kuch jasbaat baras gaye
kuch rom sarabor huey
baki saare taras gaye
samay ke haathon ne dheel di
toh kai lamhe nikal gaye aage
choona chaha humne bhi
lagta hai hum dheemein bhage
khayalon ki pagdandiyon pe
chale dhoondhne kuch mukam purane
dhundhlaye raaston par mili
kuch muskurahatein, thode aansu,
chehre jaane-anjaane
arse baad dil num hua
laga ki jaise bharam hua
madhdham si yadon pe
bhavo ka aaj charam hua
inhi bhavon ke sailab mein
aaj thoda rum gaye
palon ke chakravyuh mein padke
aaj hum tham gaye
mann ko khushi ke thaske lage
toh naino ke patr chalak gaye
kuch rom sarabor huey
baki saare taras gaye.