Pages

Monday, April 12, 2010

Tu aaja gaanja maar le

























behosh is poori duniya mein
thodi besudhi udhaar le
gar duniya ne khoob maari hai teri
tu aaja gaanja maar le

bhaari ban dhas jaa zameen mein
kabhi hawa pe ho sawaar le
ud pohonch jahan kahe mann
tu aaja gaanja maar le

dhun pe aankhein moond ke apni
naye rangon ka sansaar le
indradhanush bhe feeka lagega
tu aaja gaanja maar le

pighalne ka mazaa utha
khud mein khud ko utaar le
khud se milna hota hi kab hai
tu aaja gaanja maar le

hansi mein apni kho jaa aaj
akaaran khushi ki bahaar le
dil khol ke hans le duniya pe tu
tu aaja gaanja maar le

chod de khud ko aazaad kabhi toh
kabhi toh khud se haar le
jeetega nayi duniya poori
tu aaja gaanja maar le

andhere kamrey mein kho ke pyaare
chamkeeley sapne sanwaar le
bezuban sannatey ki
batein sun hazaar le
kaan khaati duniya mein
pal sukun ke chaar le
thoda thoda pyaar de
thoda thoda pyaar le
tu aaja gaanja maar le



Friday, April 2, 2010

Bas Isiliye Sota Hun


kalpana ki kalam ko keechad ki syahi mein dubota hun
achchi cheezon ka bura sochne ko sota hun

din-bhar ki achchai ko raath ke andhere mein khota hun
mann ki duniya rachne, mann-maafik karne ko sota hun

aankhein moondne tak ek chonga sa pehne hota hun
kenchuli utaarne, fann sawaarne ko sota hun

sapno ki ganga mein apne punyon ka mael dhota hun
sehan sagar ki sair karne ko sota hun

poore din dukhi, mein hasta hun,
raat khushi mein rote hun
vilaap utsav manane, anant shok jagaane ko sota hun

khuli aankhon yun toh saari duniya dhhota hun
thoda sukun paa jaaun, duniya se dhhua jaaun, sochke sota hun

ab mein achcha nahi toh kya karun
kab tak shrishti bhar se darun
toh din mein safaid jhooth,
raat mein kaaley sach ke beej bota hun
khud ko khud banne de paun
khud se milkey reh paun
sapno mein astitva pirota hun
bas isiliye, isiliye mein sota hun.