Pages

Friday, April 2, 2010

Bas Isiliye Sota Hun


kalpana ki kalam ko keechad ki syahi mein dubota hun
achchi cheezon ka bura sochne ko sota hun

din-bhar ki achchai ko raath ke andhere mein khota hun
mann ki duniya rachne, mann-maafik karne ko sota hun

aankhein moondne tak ek chonga sa pehne hota hun
kenchuli utaarne, fann sawaarne ko sota hun

sapno ki ganga mein apne punyon ka mael dhota hun
sehan sagar ki sair karne ko sota hun

poore din dukhi, mein hasta hun,
raat khushi mein rote hun
vilaap utsav manane, anant shok jagaane ko sota hun

khuli aankhon yun toh saari duniya dhhota hun
thoda sukun paa jaaun, duniya se dhhua jaaun, sochke sota hun

ab mein achcha nahi toh kya karun
kab tak shrishti bhar se darun
toh din mein safaid jhooth,
raat mein kaaley sach ke beej bota hun
khud ko khud banne de paun
khud se milkey reh paun
sapno mein astitva pirota hun
bas isiliye, isiliye mein sota hun.

0 comments: