Pages

Tuesday, November 27, 2007

Kavi mein nahi.

Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun
Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

Baat toh jagjaani karta hun
Sirf shabdon ki manmani karta hun
Chahta hun logon ka dhyan mein thoda
Isliye dhindhora peet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Tooti ummeedon ka mara hun
Naa sudharti duniya se hara hun
Par kahan manta hai maan insan ka
Toh apne shabdon mein hi jeet ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Dhol ki pol toh kholta hun
Kuch bhala toh kuch bura bolta hun
Dolta hun mein bhi dolti duniya ke saath
Shabdon pe akar tikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Na praja hi koi na taj hai mera
Meri duniya pe par raj hai mera
Shabdon ko lein toh ameer hun sabse
Yun toh kaudiyon ke daam bikta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Yeh duniya yeh log, kshanbhangur saare
Fir bhi zyada ki chahat mein pareshan bichare
Chinta na karein meri nishchinta dekh
Mein toh kavi hun, pal pal banta aur mit ta hun
Tees hoti hai toh likhta hun
Apne shabdon mein dikhta hun

Kavi mein nahi padhne vale hein
Jinhone shabdon mein arth dale hein
Mein toh unhi se seekhta hun

1 comments:

Anonymous said...

if i say u write well ill be understating the fact! :)