Pages

Thursday, May 12, 2011

kahani ek carpenter ki

ek carpenter tha..matlab badhai..kaam mein achcha..duniya ko lekar uljha hua..bas uski ek hi buraai thi..logon ke gharon ki marammat karne nikal padhta tha..koi na bhi maange toh bhi agar usey dikhta ki marammat ki zaroorat hai toh marammat kar bina mol liye chal deta..ab mol toh leta nahi tha..toh keelein kahan se aati?..toh apni hi kutiya ki keelein nikaal kar duniya bhar ke ghar jodta tha..aaj keelon ke abhaav mein uski kutiya dhahne ko hai..voh sochta hai ki koi badhai uski duniya ki marammat karne bhi aayega..par har kahani pariyon ki kahani toh nahi hoti.


isliye apni keelein bacha ke rakho.

High Tales

hazy blues and reds and greens

ages spent in momentary scenes

the rides on the rainbow never disappoint

the 2D worlds are adjacent and joint

oh and the scary clowns jump on water

the sun melts in the sea till its left only quarter

her face, it shimmers in the flashes of reality

clearer than the reality around

or the mind made towns

the animal families, the perfect symmetry

skipping thoughts skipping worlds i am free

i make mold unhold memories

the stages are formed and we dance on trapeze

and I follow the non existing trails

such is the world of the high tales

Tuesday, October 12, 2010

दिल विराना



मैं अकेला दिल विराना

और हरामी सारा ज़माना

और टूटे भी अब दिल कितना

टुकड़ों का अब क्या चूरन बनाना


ये गया वो गया

चला गया हर कोई

निर्दोष यह आँखें मेरी

न रोई न सोयी


दोष किसका न समझा में अब तक

तोह खोट खुद में ही ढूंढता फिरा

कुछ तो बात होगी जो में

हर पगडण्डी पे चलता गिरा


क्या तू सही है

क्या मैं सही हूँ

क्या सब वाही है

क्या मैं वाही हूँ


खैर तू जो गया है

तो मैं खुद को देख पाया हूँ

तो में दुनिया से

व्योम में अब आया हूँ


दिल अब आराम से ज़रा

इस दुनिया में चलना-चलाना

मैं अकेला दिल विराना

और हरामी सारा ज़माना

मैंने राम को नहीं देखा

मैंने राम को नहीं देखा
नहीं देखा मैंने उसके काम को
मैंने देखा है तो बस
उसके नाम पे होते हराम को

देखा है मैंने लोगों को घृणा में जलते हुए
देखा है उन्‍हें अज्ञान की कोख में पलते हुए
मैंने प्‍यार के अंजाम को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा

क्‍या राम चाहेगा किसी की इमारत गिरे
क्‍या राम चाहेगा कि धर्म के नाम दिल चिरें
मैंने ऐसे इंतजाम को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा

क्‍या राम का रावण से धर्म का युद्ध था?
क्‍या राम का मन हिंदुत्‍व से अशुद्ध था?
मैंने रामायण में भी ऐसे कत्‍लेआम को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा

राम कब पैदा, कहां हुआ, किसे पता
पर इसी बात पर फोकटियों का झट्ठा बटा
ऐसी यात्राओं के मैंने मुकाम को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा

देश को खून की कड़ाही में तलते हैं
जो अपने भगवानों के नारे दिये चलते हैं
मैंने ऐसे तकिया-कलाम को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा भाई
मैंने राम को नहीं देखा

मैंने देखा लोगों का खून बहते
मांओं को बच्‍चों के मरने का गम सहते
राजनेताओं की जेबें भरते
एक आम हिंदू-मुसलमान को अपने घर में डरते
क्‍यूं न लड़ूं मैं इनके लिए जो मेरे सामने सांस लेते हैं
क्‍यों मैं जपूं राम नाम जिसकी लोग मन में आस लेते हैं
जो रोक न सका इतने बेगुनाह लोगों को तड़पने से
मैंने उस भगवान को नहीं देखा
मैंने राम को नहीं देखा।

झरोखे



जहाँ देखता हूँ वहाँ झरोखे हैं

कुछ में सच्चाई तो कुछ में धोखे हैं


झरोखों की भी अपनी बात निराली है

जैसे निर्दयी दीवारों में थोड़ी उम्मीद की जगह खाली है


किसी में चचा जान तो किसी में छोटू खड़ा है

कि जैसे झरोखे रूपी मुख से, घर दुनिया से बोल पड़ा है


झरोखों से झरोखे भर ज़िंदगियाँ देखना मुझे खूब लुभाता है

मन हर झरोखे के पीछे बनती कहानियों का अंदाज़ा लगाता है


कहीं से छलकती हरी दीवारें कहीं गुलाबी पर्दे क्या कुछ कहते हैं

कुछ के नीचे लेनदार तो कुछ के नीचे आशिक़ रहते हैं


कहीं से कलह का शोर, तो कहीं से मंद संगीत छनकर आता है

गुज़रता राहगीर अंजाने ही दिन भर वो धुन गुनगुनता है


झरोखों में झलकती जीवन की विविधता सुहानी है

मानो इस पोस्टर के बिना बाकी फिल्म ही बेमानी है


फिर आँखों के झरोखों से मॅन को ताकना

मॅन के झरोखे से जीवन को ताकना


और बैठ झरोखों पे आने वालों की बाट जोहना

अंदर-बाहर के गम-खुशी में खो,

कभी खिलखिलाना कभी बिलख के रोना


रोज़मर्रा के बायोस्कोपे यह अनोखे हैं

अनंत बढ़ती दीवारों को यही तो रोके हैं

अनायास ही मेरे जिग्यासु मन को क्यूँ यह टोके हैं

जहाँ देखता हूँ वहाँ झरोखे हैं

इत्र-तड़कों के शीतल झोके हैं

अब बंद दरवाज़ों के पीछे पलते समाज के

प्रतिबिंब के यही तो चन्द मौके हैं


जहाँ देखता हूँ वहाँ झरोखे हैं

कुछ में सच्चाई तो कुछ में धोखे हैं


Friday, May 28, 2010

Kaid.



















tu kaid mein teri kaid hai
mein hun meri kaid mein
kabhi ujaala ghere hai
kabhi andheri kaid mein

kaid hai duniya saari
taraha taraha ki kaid mein
hai aazaadi humaari
bewajah ki kaid mein

kahin kangaali ki kaid
kahin paison ki kaid hai
bade-badon ki kaid hai
aise-vaison ki kaid hai

insaan bilon mein kaid hai
bhagwaan dilon mein kaid hai
raahi kaid hein raahon mein
aur manjeelon mein kaid hein

koi kaid hai bahari duniya mein
koi andar apne kaid hai
kahin sapne kaid baney baithe hein
kahin khud hi sapne kaid hein

aur aazadi saapeksh hai
kaidon ke paimaano mein
jailor-kaidee ek se
aaye-gaye jamaano mein

sukh ki dukh ki kaidon mein
ranj-o-pyaar ki kaidon mein
kaidee bhooley kaidee hona
is sansaar ki kaidon mein

jo sansaar ki kaid taajey hai
moksh ki kaid talaashey hai
kaidon mein kaid dhoondhtey
hum aazaadi ke pyaase hein

kaidon mein ummeed kaidon ki hai
bas kaidon ka janjaal hai
jo samjha voh nihaal
na samjha voh behaal hai

kaidon ka sammohan hai
sammohan ki kaid hai
bas kahey aur kya kehne wala
apne apne mann ki kaid hai

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai.


duniya ke aseem anant is sagar mein
brahmaan ki adni si is gagar mein
jab baadhon ka bharosa na koi hai ab
toh naav pohonch saahil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

duniya bhar ki vaadiyon ki kaamna kyun karun
bageechon mein kaliyon ki gaadiyon ki kaamna kyun karun
jhulasti vadiyon ke kaantein bhare bageechon mein
kahin ek kali khil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

faulaadi iraadon ka kya fayda
duniyaa badalne ke vaadon ka kya fayda
jab imaan hi doley huein yahan sab ke
toh ek-aadh pahad hil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

asli toh yeh duniya yun bhi nahin
pata nahi mein asli hun ki nahin
aise mein chamtkaron ka bhi mulya kahan
mom se paththar chil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

sabhi toh yahan jhoota khaa rahe hein
paavitra raag par alaape jaa rahe hein
toh kuch maukon par daavat chodna theek toh nahi
khana zara sil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

shreshtam pashu hone ke jashn bade hein
shrishti vijay dhwaj hum liye khade hein
kaafi choohey hein yahan jab mahamaari failaney ko
toh sher dubak bil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

toh kya hai yahan koi sochta nahi
ichchaon ke aage koi pohonchta nahi
jab jeevn fikr ka paryay ban chuka hai
toh kuch der lag kahin dil bhi jaaye toh kya hai
yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Go.

show me the pain
the tears if u have
freeze one if you may
the red on your face
always from rage
cry tears of blood
and paint it red
heartless i am not
only if i could see
the pain you've got
words are just words
sounds assigned meanings
i would have been better off deaf
give me real
inherent meanings
be human
don't just act like one.
well you should go.
go.

Not A Lot I Want.

i don't wana watch a movie
i don't wana play a game
not a soul i wana call
a hard on is not my aim
what i want is not a lot
see some people
maybe share a thought
flowing wisdom aint needed
random bullshit shud suffice
even words not required though
i shul feel the conversation
when i shut my eyes
gimmi a chance to read a face
i might be gud at it, who knows
let me have few in me
and myself in many other shells
let me see what your mind shows
no give and take here
not asking for a hand
i don't even need to know you
forget being your friend
you just be you
and let me be me
let the world be what it is
let it all be fluid
as we deluge for eternity
i wana question
what's in the knowing
thereby seeking an answer
thus trying to know
i'll fall prey to the challenge itself
with numerous contradictions flowing
but i don't want to know
just be
one with what wants to come along
coz i m tired of getting stuff
from places universes apart
travelling rough roads too long
i want my desires fulfilled
but i dont pray
what's the harm
many wud aptly say
mayb m just too lazy too hazy
too desiring to pray
THEY should take my desires as my prayers
shouldn't THEY?
maybe this is what middle of nowhere is like
there's no world is my sight
no sounds against silence
no dark against light
as i have what i wanted
i yearn now for what i need
i'll be honest about my flaw though
i still want n want more
as grief embraces my greed.

Monday, April 12, 2010

Tu aaja gaanja maar le

























behosh is poori duniya mein
thodi besudhi udhaar le
gar duniya ne khoob maari hai teri
tu aaja gaanja maar le

bhaari ban dhas jaa zameen mein
kabhi hawa pe ho sawaar le
ud pohonch jahan kahe mann
tu aaja gaanja maar le

dhun pe aankhein moond ke apni
naye rangon ka sansaar le
indradhanush bhe feeka lagega
tu aaja gaanja maar le

pighalne ka mazaa utha
khud mein khud ko utaar le
khud se milna hota hi kab hai
tu aaja gaanja maar le

hansi mein apni kho jaa aaj
akaaran khushi ki bahaar le
dil khol ke hans le duniya pe tu
tu aaja gaanja maar le

chod de khud ko aazaad kabhi toh
kabhi toh khud se haar le
jeetega nayi duniya poori
tu aaja gaanja maar le

andhere kamrey mein kho ke pyaare
chamkeeley sapne sanwaar le
bezuban sannatey ki
batein sun hazaar le
kaan khaati duniya mein
pal sukun ke chaar le
thoda thoda pyaar de
thoda thoda pyaar le
tu aaja gaanja maar le



Friday, April 2, 2010

Bas Isiliye Sota Hun


kalpana ki kalam ko keechad ki syahi mein dubota hun
achchi cheezon ka bura sochne ko sota hun

din-bhar ki achchai ko raath ke andhere mein khota hun
mann ki duniya rachne, mann-maafik karne ko sota hun

aankhein moondne tak ek chonga sa pehne hota hun
kenchuli utaarne, fann sawaarne ko sota hun

sapno ki ganga mein apne punyon ka mael dhota hun
sehan sagar ki sair karne ko sota hun

poore din dukhi, mein hasta hun,
raat khushi mein rote hun
vilaap utsav manane, anant shok jagaane ko sota hun

khuli aankhon yun toh saari duniya dhhota hun
thoda sukun paa jaaun, duniya se dhhua jaaun, sochke sota hun

ab mein achcha nahi toh kya karun
kab tak shrishti bhar se darun
toh din mein safaid jhooth,
raat mein kaaley sach ke beej bota hun
khud ko khud banne de paun
khud se milkey reh paun
sapno mein astitva pirota hun
bas isiliye, isiliye mein sota hun.

Sunday, August 16, 2009

Mein.


aksar log poochte hein
ki tu jo yeh kavitayein likhta hai
kya unmein tera hi aks dikhta hai
kya tujhse bani hein sab
tujhmein se jani hein sab
mein kehta hun
ki kuch prernaon ki lekhi bhi hai
fir duniya dekhi bhi hai
par aaj is rachna mein mein hi mein hun
toh duniya se maafi chahunga
socha khud ko khuredun thoda aaj
toh marham aaj kaafi chahunga
toh chalo rosh raag alaapta hun
khud ko khud se naapta hun
mein bhagta hun
shaam tak bistar todta hun
raat bhar jaagta hun, mein bhagta hun
bhagta hun mein duniya se
ya kahein ki meri iski samajh se
bhagta hun mein mujhe vaaron se bachaane vaale
har ek kavach se
mein jaan se bhagta hun
anjaan ko taakta hun
raat bhar jaagta hun
mein sawalon ko sun
jaawabon se bhagta hun
mein pankhudiyan chura
gulaabon se bhagta hun
is duniya se thak
duniya mein hi bhagta hun
khud mein bhaag
thak ke haanfta hun
mein.
mein mein ban-ne se, tum ban-ne se bhagta hun
mein chanchal, gum-sum ban-ne se bhagta hun
mein kaam se bhaag aalas bant-ta hun
khayalon-khwabon ki fasal kaat-ta hun
mein kabr mein baitha haath taapta hun
kokh mein kaanpta hun
mein niyamon se bhagta hun.
mere sadhu aur shaitan dono ke talwe chat-ta hun
bhagwan ko hal pal danta hun
mein thakta hun, par kahan haarta hun
mein fir bhi bhaagta hun
jaane kyun sooraj tyagta hun
chaand ki bhavnayein bhaanpta hun mein,
bhagta hun mein.

Monday, August 10, 2009

Zindagi O Zindagi.


zindagi o zindagi
tu khushnuma bani hai
ya gamgeen ho gayi hai
ab toh din se raat todti rekha
bhi maheen ho gayi hai
aaj mann mein aya ki
khud ko banate sawalon se jhoojh hi leta hun
aalas-mehnat se thaka, tujhse jawab pooch hi leta hun
toh bata mujhe kya dun tujhe
ki muskuraye fir tera chehra
tujhe bhool khud mein uljha
mano hun mein kisi chamatkar ke liye thehra
kshan ghanton mein, ghante dino, aur din maheeno mein
tabdeel ho rahe hein
aur hum hein ki khud hi ko thanthas bandhate
roz khud hi ke haathon zaleel ho rahe hein
din raat sochte hein ki khaali waqt ki kamna
kaun log karte hein
yahan lamhon ki sena ke raunde jaane se
hum har peher marte hein
lakshya heen is jeevan ka kya abhipray hai
kya yeh hi mera jeevan hai ya uska bas ek adhyay hai?
ek ishara bhar hi dede ki tere liye kya karun
ram banke vanvaas chalun ya rawan ban seeta harun?
tadke subah baitha mein neend se roothi aankhein liye
mere saath yeh atpatey proyog tune kiye toh kyon kiye?
girake chalna sikhana toh halanki kahan mana hai
par bata mujhe kya kabhi aate se bhi genhu bana hai?
itna bhi mat pees ki tujhe mein milun bhi na satane ko
mein hi maun ho gaya toh kise dhoondhegi batiyaney ko
mujhe pata hai ki tu na boli hai na bolegi
kya pata kab tak meri besabri ko ummeed se tolegi
yeh sawa che ki subah bhi acchi hai
yeh hi ban ja na
ya kyun bani padi hai ek khali sapne si
mujhko samjhana
kuch samay nikaal bhi le ab thoda
purane palon ki khatir hi sahi
likh korey panne pe jo mein karun vahi
varna jaa aur reh jo ki tu likhi gayi hai
aur mein tujhmein hi tujhe dhundhta-poochta rahunga
milunga tujhse kismat mein hua toh
varna yun hi kisi din raakh bana kisi nadi mein jaa bahunga.

Aaj Ka Manav.


Sikudte kamre mein apni sikudi duniya liye baitha hun
Ab toh jeevan se mrityu tak, mrit hi dikhayi deta hun
Swayam ko pinjre mein daal, mein apne jaanwar ne nyay nahi karta
Ghira hun khud hi se har pal, par swadhyay nahi karta
Prakrati badalti hai, hrituein badalti hein, mein sirf budhata hun
Kuch aawazein bahar ki andar aati bhi hongi shayad,
Par khud ke hi shor mein kho sa jata hun
Mere liye mein bhi mein hun, aur tum bhi mein, chalti toh poora brahmaan hi mein ho jaata
Sochta hun ki khud ko gyaat hun mein, toh agyaat mein nahi
Varan agyaat bhi mein ho jata
Karan hai, ki kyun maa prithvi ke liye mere saare darwaaze bandh hein
Mere sikudte kamre mein, jiska ki aadi hun mein aisi, mrit koshikaaon, vastu mahan,
Aur har kshan girti meri laash ki voh gandh hai
Hey manu tu dekh tera putr kitna tikshn ban gaya hai
Uske liye maano prakrati ka har chakra tham gaya hai
Manu tu nikla tha bandh baserey chod duniya ki khoj mein
Mujhe dekh, mein maha Ganga ko bhi thappedar botlon mein pee raha hun
Mein aaj ka manav hun manu, aaj ka manav,
Mein duniya ko hi bandh kamron mein jee raha hun.

Maun Raho.


















aam shaam mein hua dhamaka
hakka bakka har koi bhaga
pata chala fir vaar hua hai
maan desh ka taar-taar hua hai
muththi bhar ne aatank machaya
kuch surakshit nahi humein bataya
bebasi pe sharm kam na thi
rakt vahini bhi garm kam na thi
dil num sa tha khakhi ko khoon mein sana dekh
ek goli ki rifle ka AK se samana dekh
bijli, petrol bachane mein dhyan logon ab tak kum gaya tha
par vyang dekhein vidhi ka, ab bhay se bombay tham gaya tha
NEWs valon ne bhi khud ki badai ka mauka kahan chodna tha
Netaon ko bhi vipaksh ki reedh ko todna tha
ek shabd toh fir har kisi ne, dua ka bola hi hoga
nirdosh lahu behta dekh, khool sabhi ka khaula bhi hoga
fir jeet mili, sekdon lashon pe chalke
shahidon ki kurbaaniyon pe ashk bhi kai chalke
ab yeh jeet bhi kitni jeet hai sab hi jaante hein
kal bhi dhamaka ho sakta hai hone ko, sab hi maante hein
sawal anginat hein mann-mastiksh mein sabke
bhool baithe hein jinhe, pratyaksh ke shor mein dabke
sab gyan dikhana, aakrosh jatana chahte hein
milke sabhi mombattiyan jalana chahte hein
par prateekvad bhi fir koi hal hai
jab samasya itni viral hai
shhhhhhh....chup karo, ab mat kaho
itne saalon ki tarah bas maun raho
jahan itne saal vahin kuch der aur sahi
urja ki barbaadi bhi hogi nahi
par antar hai is maun mein logon
bolo mat par soch na roko
socho socho samay lo chahe
yojna par hum aisi banayein
ki lakshya tak pahocnne ki tayyiyari se niklein
na vapas ghoomein, na girein, na fislein
bachpan se buraiyon pe bol bol ke thak gaya hun
ab kuch samay mein maun hi rahunga
jab naya kuch hoga kehne ko paas mere
naye kal ke liye, us din seena thok ke kahunga
varna maun hi rahunga...maun hi rahunga.